Rat ki barsat aur agle din ka prabhat..
sheetal mand chalti pawan ka aaghat..
kar raha hai aakarshit mujhe..
raah per pade huye jal ki boondo ka bikhraw..
ped poudho ki jagah ab mitti k teelo ne le li hai..
pakshiyo k kalrav ki sthan per ab vahno ka shor hai..
phir bhi kabhi kabhi mousam ehsas dilata hai..
humko phir se prakrti ki or le jata hai..
is rat ki barsat ne jaise dho diye dharti k sare pap..
kar diya pavitra itna ki man me uthe santap..
kyo prakriti k prem aur sheetalata ko chod kar..
kar rahe hai mitti k teelo ka maap..
3 comments:
nice poem!!!
now i m your fan, and what i thinks is that u r an absolutely perfect person .
sahityika u are a damn good writer
keep going
nice to have a blogger frnd like u
Post a Comment